Thursday, October 11, 2007

In conversation with GOD


maine bhagwaan se kaha meri saari peedayein chheen lo,
Bhagwaan ne kaha, mujhe chhenane ki kya zarurat,
tum saath hee liye ghoom rahi ho,tum hee tyaag do.

maine kaha, mujhe sahan shakti do, dheeraj do.
Usnae kaha, dheeraj aasmaan se nahi tapakta,
pareshaaniyon ke beech upajta hai,
usae tumhe khud hee ugaana padega.

maine kaha, mujhe khushiyaan do.
Usnae kaha, main tumhe aashirwaad de sakta hun,
khushi tumhe apne andar se jagaani padegi.

maine kaha achcha phir mujhe wo saari cheezein do
jissae main zindagi ka anand le sakoon.
Usnae kaha, saansarik cheezon mein alapkaal ka anand hai.
Meri yaad ke siwaye kisi aur cheezon se tujhe sadaakaal ka
anand nahi mil sakta

maine kaha, theek hai, phir mujhe yah shakti toe dena ki,
main bhi doosron se utnaa hee pyaar karun, jitna ki Tum mujh se karte ho.

Bhagwaan muskura kar bole, tum mera diya hua pyaar jitna baatoge,
ussae kayin guna pyaar tumhare andar swatah hee bharega.

No comments: